Tuesday, August 5, 2014

Fauji dheere chalna, OROP mein zara sambhalna.

CLICK HERE FOR THE SONG ...babuji dheere chalna..........


Fauji dheere chalna, OROP mein zara sambhalna.
Haan, barhe dhokhe hain, barhe dhokhe hain,
Teree Raah mein,
Fauji Dheere Chalna....
Kion ho khoye huye sar jhukaaye,
jaise jaate ho sab kuchh lutaaye.
Ye to Babuon ki pehli chal hai,
nazar aate hain MODI bhi paraaye.
Haan, barhe dhokhe hain, bade dhokhe hain,
OROP ki raah mein.
Fauji Dheere Chalna.... 

Yeh babugiri hai o bhole -bhaale,
kar na dil ko gamon ke havaale.
Chaal Babu-Netaon kee gehri bahut hai,
lagaake honto pe toren ge pyaale.
Haan bade dhokhe hain,bade dhokhe hain ,
teree raah mein,
Fauji Dheere Chalna....  
Ho gayi hain babuon se jo anban,
thaam le netaon ka daaman.
South Block ki raahein ajeeb hain,
ho akele to CGDA bhi hai dushman.
Haan bade dhokhe hain, bade dhokhe hain,
OROP ki raah mein,
Fauji dheere chalna..... 

Babu ko, neta se door rakhna,
Sun le tu zara bhole bhale.
Hon agar be-bas yeh NETA,
to jajjon ko gale laga le.
Babu-neta ki zabaan azab hai,
yakeen na karna wattan ke Rakhwale. 
Ab Whisky khatam hai Fauzi,
Rum se hee kaam chala le
Rum se hee kaam........

(Source- BC Vasundhara blog)

No comments:

Post a Comment